Chahat Nahin

Woh Bagh jo pyasa aur khushk ho 

Aise bayabaan gulshan ki chahat nahin

Woh ped jo beemari se mubtalh ho 

Aise khokhle namoone ki chahat nahin

Woh poude jo jangli saazish se phaile ho 

Aise afra tari haiwan ki chahat nahin

Woh gulab jisme mehak na ho 

Aise khoobsurat phool ki chahat nahin

Jab Mali hi baagh ka be parwah ho 

Aise baghban ki koi zaroorat hi nahin

Woh jo muflis ki parwah na kare

Aise zalim ki chahat nahin

Woh jo amir ko daulatmand kare

Aise dhokemand ki chahat nahin

Woh jo har waqt khud parasth ho

Aise maghroor ki chahat nahin

Woh jo auron ko kam darja dekhai

Aise Ehsaas Kamtar ki Chahat Nahin

Ho gaye hain Lube Labab aisi bashar se

Gawar karne ke elava koi chara hi nahin

Woh jiski zuban siyah siyahi se malfoof ho 

Aise jhoote insaan ki chahat nahin

Wo  jo lambe wadon se mukar jaata ho

Aise besharam dhint ki chahat nahin 

Woh jo aale taleem se bedarja ho

Aise unpadh ki nasihat ki chahat nahin

Woh jo sirf zaathi sukoon pareshan kun ho

Aise matlabi  khudgarz ki chahat nahin

Halat ne is qadar kar diya majboor aur bebas

Sabr aur tahammul ke elawa koi rasta nahin

Woh jo mazi ka mutala ghalat pesh karta ho

Aise marodi aur aintthi tareekh ki chahat nahin

Woh jo mazhabon mein insanon ko baant deta ho

Aise jahil moqa parast ki chahat nahin

Woh Jo insaan ko qabile kharch chaara samajhta ho 

Aise sang dil buzdil qatil ki chahat nahin

Woh jo mulk ki hifazat ke bahane siyasat karta ho

Aise farebi matlabi hukmaran ki chahat nahin

Ban gaye ghulam chant chalak rehnuma ki baaton se

Iss Intezar mein hain, khatima hota hai in lakar bagho ka ya nahin  

Advertisement

8 thoughts on “Chahat Nahin”

  1. These lines remind me of today’s situation we all are going through. Beautiful. But there is a silver lining and am living for that.

    Like

  2. I agree with Narjjis Bhargava above. Ours is such a diverse country that it is not possible to please every one especially when the other side is vitriolic in critical comments. There surely is a silver lining. Let us wait for it.

    Like

  3. Kudrat aap ki hamari dua kabul kare us purane aman pyar bhaichare ke din.
    Ab to hum apne NDA course group ke kaabil bhi nahi rahe.

    Like

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.