Bahut arse se hain ajnabi, ab tho mulaqat karlein
Kisi intekhabi muquam per milkar, thodi kuch baat karlein
Falak mein tare til mila rahen, baade naseem abhi ravan hui hai
Sabz naram ghaas se phaili chadar, shastagi se madu kar rahi hai
Shafaq se tulu aftab tak guzren ge jo haseen lamhe bekhabar
Fikr hai Shabnami bauchar se ho na jaye sehat per sangeen asar
Bahut arse se hain ajnabi, ab tho mulaqat karlein
Kisi intekhabi muquam per milkar, thodi kuch baat karlein
Sukoon bakhsh mahol mein baade saba se narm goshi ka luthf paana
Aab choote hi paavon ko Samundari kinare se baar baar uth jana
Wasee paimane Lahron ki purshor awaz duba dengi hamari guftagoo
Taloe – e – Aftab hote hi kar dengi tez suraj ki kirne hume taklif da
Bahut arse se hain ajnabi, ab tho mulaqat karlein
Kisi intekhabi muquam per milkar, thodi kuch baat karlein
aaoge gharib khane par tasawur kar nahi sakta
Lagega sabko nagawar mera aana tumhare dahliz tak
Na hoga rasme dastoor bhool kar koi aam jagah milna
mile bhi agar hum rahega hareefon mein charcha der tak
Mulaqat ka zariya abhi nazar aata nahin Shameem
Bas khyalon mein milte raho ho jayega yeh yaqeen
All pictures are by Jafar Shameem
Please log on to http://www.jafar.com for more pictures.
Beautiful shayari.
LikeLike
shukriya
LikeLike