
Na main aasman ki kisi teh se tapka
Na hi is zameen ki gehrayon se nikla
Na main kisi darkht ki shakh per paka
Na hi kisi bhose ki gathri mein paksa
Main hoon maa baap ki khawaish ka
Khuda ne jise kar diya zinda
Main hoon insaan aap hi jaisa
Hawa mein saans leta hoon
Paani se pyas mita deta hoon
Dhoond leta hoon raah ankhon se
Sun leta hoon shor ghul kanon se
Ho jaati hai guftugoo zaban se
Main hoon insaan aap hi jaisa
Dil ki dhadkan ka khayal rakhta hoon
Bhookh lagne per kha leta hoon
Chal ke karta hoon safar zamin per
Raaste paar karta hoon pairon per
Bhari bhakam ko uthata hoon hathon se
Narm naazuk ko choo deta hoon ungliyon se
Main hoon insaan aap hi jaisa
Mera dimagh bhataktha rehta hai
Ajeeb khayalaton mein phansa rehta hai
Meri khawahish mustaqil intezar karti hai
Aas chaah aur khauf mein dooby rehti hai
Ho jaata hoon jazbaton ke katghare mein band
Jab na milti hai ghair maaqool pasand
Main hoon insaan hoon aap hi jaisa
Main hoon khuda ka ek mamooli banda
Jo rab ki her Takhliq per naaz hai karta
Jo bana hai na use kare barbad bematlab
Chod di nafrat aur dushmani hain yeh besabab
Thaam liya haath sabka badh kar aur khayalon mein
Maan kar jeete hain bhala hai hum sab ko mil kar rahne mein
Kya aap hain insaan mere hi jaise?


Manas ki jaat sab eko pachanbo.
Humans we are. Just the same.
Well said friend. 👏
LikeLike
Thank you. God made humans who become inhuman!
LikeLike