Unki aankhon mein jab doob kar dekha
Meri chahat ka noor dhundhla sa paya
Jigar mein ek khalish si uthi
Dil ki dhadhkane baitthne lagi
Unke chehre per jab nazar padi
Wohi masoomiyat thi chaayi hui
Narm lafzon se unse mukhatib hua
Kya kami hai mujhme maine poocha
Karta hoon pyar tumse kya yeh meri khata
Her lihaz se mujhe tumne pasand kiya
Hamari dosti par kerte hain sab hamd o sana
Maine yehi aas mein guzare raath aur din
Na kat payegi zindagi ab tumhare bin
Hai na mohabbat, per nafrat bhi tho nahi hai
Meri azmat, aqeedat, khayal wa zuban ab tumhare hain
Badal doonga apni zaath aur tameez, jis rukh mein ho tumhe pasand
Daba loonga ana, tere kadmon ki ahat per hogi alvida meri ghamand.
Ilteja ye guzarish huyi fuzool, na pada unpar inka koi asar
Chod kar kagaz ka tuqda chal gaye woh muh mod kar
Ho gayin Nam ankhein jo likha tha uspar padh kar
Main Kisi aur ki hoon bhool jao mujhe hamesha ke liye
Behteri isi mein hai na milen hamare raaste
Goonj uthi cheekh kiya hathon ne matam
Kho gaya sab rah gaya nasoor ranjo gham
Waqt kat tha raha tanhayi mein sahte rahe sadma
Hairat hui jab naam lifafe par padha apna
“Main khush hoon Allah ne bula liya hai mujhe
Gham hai ki Aakhri Alvida na kah sake tumhe”
Yeh mazmoon meri sabr ka aakhri tinka tha
Khul gaye raaste uthe kadam us janib jahan jana tha

Excellent words nicely depicted feelings Sir!
LikeLike
Thank you Pawan Ji. Very much obliged. May God bless you & the family.
LikeLike
πππ€π€β€
LikeLike
Shukriya Madan! God bless.
LikeLike