(Picture by Jafar Shameem)
Humne bhi duniya dekhi hai
Bulundy se Badlon ki suhbat mein
Neeche behad Shandar qudarti aur insani takhliquen hai
Qayam hain sab barqarar Khamoshi mein
Karte hain hum safar din raat apne guzare ke liye
Na Khauf mausam ka, na hi badalon ke takrane ka
Khaliq ke hum nazdik hain, woh hai Sub kuch hamare liye
Udte hain befikr behas, per chokas rahte hain uske isharon ka
Nazar aati hain Jab Manzilen woh jaani pechani hamein
Utar jaata hai hujoom ek saath Zamin par
Mil jaati hai sabko ghiza Talab ke suqoon pani mein
Khatm ho jaata hai safar waqti taur par
Bahut jald hi hum aafath mein Mubtalah ho jaate hain
Hamari jaan ke dushman hamein gher Letein hain
Wahshi Janwaron se khatra Tal jaata hai
Alimi taleem Afta insano se Bachna namumkin pad jata hai
Wohi insaan jo hamein aasman se nazar aye Cheetiyon Jaise
Nishshana hum per lagate hain ugalte auzoren se
Unhe yeh Shauq hai, ham Hadaf hain unke wahshat ka
Shikar karke humen, rahega Basar kab tak unka
Humne aur jo duniya dekhi zamin par
Sab ko paya nahin bura aur muzir
Ai Shameem aitbar hai tumahari Aashna par
Rahte ho Shan aur shauqat se, per ho dil se fakir
(Picture by Jafar Shameem)
Please log on to https://www.jafar.com/ for more pictures.
Very nice Dulha bhai! But aap dil se bhi ameer hain, fakeer nahi. These days virus has interrupted the flight of humans too. Wish we could also wander befikar .
Love the beautiful pics and the videos too. The black swan is adorable!
LikeLiked by 1 person
Thank you Lubna! Yes, waiting for the day to fly and meet you all. May God bless you and the family.
LikeLike