Kal raath bhar bahar barf ka gola barsa
Hum bepanah sothe rahe patha hi na chala
Subah hote hi jab darwaze se jhank kar bahar dekha
Barf ki qalam pedon par saji hain aur safed chadar se dhaka takht paya
Kyon rok leti hain tahniya aur patte in nazuk barfile qalmon ko
Woh tho paathi hain khoorak, jab pighalte hi kheench leti hain jaden inko
Ho sakta hai bacha kar suraj ki kirnon se yeh inse roomani baathein karthi hon
Jaan inme bhi hai, nazuk khoobsurat qalmen inhen Qabu se shayad bahar karti hon
Ghar se bahar nikla tho paya safedi charon taraf
Woh safedi jo ki pakeezgi ka mutradif hai
Woh safedi jo chain o aman ka nishan hai
Woh safedi jo haare hue harif ke alam mein paya jata hai
Barfili safed jo chadar bichi thi har taraf maidanon mein
Dhak diya tha usne sab cheezen jo theen ab thak zamin mein
Shameem kab samjhenge baraf ke safed hone ka maqsad humsab
Yeh dekhte hue bhi safed chadar mein laptathe hain jab hoti hai aakhri ruqsat
Word meaning:
Barfile gola – Snow flakes
Barfila qalam – Icicles
Mutradif – Synonymous
Harif – Rival
Alam – Banner
Ruqsat – Adieu