Na paas hone se bhi paas Hona
Na Nazar hone se bhi Nazar Aana
Ho Gaye ho bahut door tum humse
Rahte ho dil Dimagh mein muddat se
Subah Uththe hi jab Salam deta hoon
Muskurate labon se jawab pata hoon
Ab bhi hain wohi Gulab Gulshan mein
Intezar mein baghbaan se kab milen
Ho gayen hain kaarinde berozgaar
Kho diya jab se rahmate madadgar
Doston ne bhi kardi Kam gufutugu
Hai unhe bas neel kamal ki Justuju
Kaise Samjhaon unke chahne Walon ko
Woh basi hain dil mein wahin Rahne do
Meanings:
Justuju – Search
Kaarinde – Artisans
Neel Kamal- Lotus (English) -Nilofar (Persian)
Such meaningful lines, wish Rajiv also writes something like this for me one day. Beautiful love story….
LikeLike
Thank you. Rajiv will do much better!
LikeLike
🌹🌹
LikeLike